Thursday, 30 July 2015

What should I call the Poem?


Can I call this poem Krishna Consciousness? ( Poetry in Hindi and English)

Mann vyakul ho uthay Kanha...
Milnay aaja na tum Madhuban mein,
Madhuban mein hai prem baasa
aiesa dekha tumharay mann mein...
Prem hi prem hai wahan,
Milna uss gaali uss dagar mein...
Dhund na... na tum...
Idhar udhar, mil jaun mein tumhay
Tumharay mann mein!
Jai Shri Krishna _/\_

Translation:
When your heart feels unsettled Kanha
Come to meet me at Madhuban...
You will find Love in Madhuban,
that's what I saw in your SOUL!
Meet me on those path and on those points
Where we have met once...
FIND LOVE!!! Not somewhere outside you...
When you will close your eyes, My Dearest!
Within me you will find me always!
Jai Shri Krishna _/\_

Pic Courtesy: Google

Sunday, 26 July 2015

Krishna Raas





Kanha pakdi jo menae teri kalayie...
Kahay Bansuri hai chutihi jayae
Mann bhari jayae teri prem raas mein
Madhu raas ghuli ghuli jayae
Chodun na tujhay,
teri prem gatha mein gawiyee jaun...

Surili teri vaani thiyo, yah bansuri ki dhuni
Roop andhyaro tharo yah chandrama ki laali
Baat toh bas ek hi janu hun mein
Prem raas tu ek hai maro,
Na kadhi chod sakun, Na hi chodi jayae...
Jai Shri Krishna _/\_




Lat muhay Kanha aisay hi bhikri jayae
Nain say nain milaun,
aur kuch kahi na jayae.
Thakan meri teri muskan duri karay
yah prem raas pan,
jo tu hi hai mohay khilawayae...

Prem raas madhuban mein,
dekho mantra mugdh ho jayae...
Samajh teri aankho ki samjhun,
yeh muskan hai teri kuch kahi jayae...
Teri prem mein Kanha,
Mann mora bas pulkit hoyae jayae! smile emoticon
Jai Shri Krishna _/\_


Yamuna kinaray, baithun mein...
raah teri meri nain hai bichayae
tujhsay milun yah sochti rahun...
Aur socti hi chaviyay yamuna hai dikhay...

Sochun mein ki bas mein...
Mein hi hun ek teray PREM mein
Par shristhi toh chavyee...
Kayiee aur bhi hai dikhayae
Kamal aur kamalangi kay saath
kuch meri hi chviyan hai nain pasaray
Murli Manohar Mohan pyarae,
kahay na tu bansuri ki dhun firsay sunayae _/\_

Raas vibhor ho mann mera,
prem dhumir mohi lagi jayae...
Chahun aur bas tu hi hai nazar ayae,
Nazar kuch aur na ayae mohay...
Mantra mugdh hoyiee jaun mein,
Aisi tu bansuriya sunayae!
Jai Shri Krishna _/\_


Kanha teri leela,
Kabhi toh mohayae samajh mein na ayae
prem tu toh mo say karay,
kahay Gopiyon sang batiyae...
Radha Rani teri mein, tu yeh kahay...
par unn hi mein tu ghul jayae...
Jalan ki laali tohayae kahay samajh mein na awayae
Tu toh Krishna Murari kehlawyae...

Jab mein tujhsay dur hai pag pasarun,
Na puchay mo say tu,
Kaha hai Radha Rani chali jayae...
Tu toh mast magan Gopiyon sang
Aisay hai batiyanae, jaisay PREM RADHA
Har Gopiyon mein hai samay
Hoti agar preet Radha san jo teri,
samajh mein Murali walay,
sab kuch teray hai aa jayae.

Murali Manohar Ras Bihari tu toh hai kehlawyae...
Pidha Radha Rani ki tohay samajh mein na awayae!
Jai Shri Krishna _/\_



Purnima raat mohay, Kanha dikhay chahun aur
Kadamb kay nichay, hum hai baithay
Baatien karayen aur karay tithooli,
Yamuna teeray...

 
Bansuri teri prem hai gholay,
Kadam Kamal prem ras mein ghuli -ghuli jayae
Shristhi dubi prem raas mein jaisay
Gaan PREM ka bas gaati jayae...
Jai Shri Krishna _/\_


Madhuban mein Kanha,
jo tu baithaye kesawan sawaraye
Mayur pankh felawayae
Sab mantr mugdh ho jawayae!

Chaviyee jo mohi dekhni chali Kanha,
tu hi hai mujhay usmay nazar aayae
Tu toh gunthay prem kay phool mohay kesawan mein
Hriday mori sugandith ho jayae...

Krishna nam ki mala kaisi hai jaapi
Kuch aur sudhi mohay na rahay jayae
Madhuban mehakay PREM raas mein teray
Sab Krishna Govind gawat jayae...
Nath meray bas chahun aur yehi gunj feli jayae!
Jai Shri Krishna _/\_



Hay Krishna Govind Hare Murari
Hay Nath Narayan Vasudeva
Jai Shri Krishna _/\_


Pic Courtesy: Google!