Monday, 20 July 2015

Sri Krishna Prem Geet _/\_



Khabar kyu na li tuneh meri Kanha
Mann mera tere mein yun gum rehta hai kahi
Bansuri teri yuhn ghuli kaano mein meray

Mayur pankh dekho kaisay chitchor huyiee
Kaisi hai teri yah prem ki dhumir
Raat din bas ek hi geet,
mann janay gayae kyu yuhn hi
Vyakul tera mann hai yah bhi nehi,
Bechan rahun mein toh bas, aab yuhni!
Jai Shri Krishna _/\_


Murli Teri kanha, kitnay sargam sunati hai,
Sargam jitnay bhi ho,
Prem ka abhash dilati hai!

Raah hamari kitni bhi mushkil,
Kyu na ho...
Sargam ek tera sahash dilati hai...
Prem mein jiyae aur prem mein hi rahein...
Anand gaan hamay ek kar jaati hay! smile emoticon
Jai Shri Krishna _/\_


Ek magan tu murali mein,
Radha mann mein samayae.
Aankh bichayae Radha deewanee,

Prem mayuri, vibhor hoyae jayae! 


Nain jo uthayae Radha,
nazar sirf Krishna hi aayae...
Man mohak Krishna ki muskhurahat mein...

Janae kyun saara brahmand nazar aayae!
Jai Shri Krishna!


Poornima ki ratri mein ghar mere aana tum, pyar barsana...
Hansti gaati iss radha ko,
Apni ek pyari si Mushkurahat de jaana tum! 

Jai Shri Krishna!    

“The only way you can conquer me is through love and there I am gladly conquered”
― Gopi Krishna
All Gopis who are in love with love are...


Murali teri Kanha saat sargam jo sunay,
Chutay hi bansuriya teri, prasanta hai cha jayae
Kahay niharay mohay tu,
mand mand muskayae...
Prem raas aas tum, duniya pulkit ho jayae!
Aas bano tum, raas bano tum...
Sri Krishna Govind Murali Manohar
Sanjhi hi sakal mann gawat jayae...


Prem Geet- Sangeet mohay tu,
kahay nehi sunawyae...
Shrishti dhnya Karo Murali Manohar,
Mann hai bhajti, aur bajhti jayae...
Avtar ho jald jogin teri, bas gawat hi jayae...
Sri Krishna Govinda Hare Murari
Hey Nath Narayan Vasudavayae_/\_
Gawti rahun mein, Prem ras anand mayiee...
Prem chauhun aur faayl jayae...
Jai Shri Krishna _/\_

Ek magan tu murali mein,
Radha mann mein samayae.
Aankh bichayae Radha deewanee,

Prem mayuri, vibhor hoyae jayae!
Jai Shri Krishna _/\_

Iss tarah teri aankhon mein gum huyiee Kanha
Hosh na raha mohay iss duniya ki
Muskurahat mein tumhari duniya dikhay
dikhay jo hai yeh khubsurat shristhi...
Agar Shristi hi muskuranay lagay aisay
Kahay ka hosh reh jayae humay.
Hamay jaha chua tumnay...
jalti hai kissi tapish mein jaisay...


Kya hai samajh mein kuch aaya nehi
Bas itna janou ki issi muharat agar kuch dikhay
Toh dikhay bas pyari si muskurahat tumhari
Khoyiee jaun, bas iss nain path mein tumharay...
Kya kahun mein, ki khud ko pa jaun
Baat aur kya reh gayieee,
tum hi baata do hamay...
Antaryami TUM, sab patah hai TUMHAY!
Agay ki tum batah dena hamay....

Jai Shri Krishna _/\_

Chaliyaae!
Fullo kay guldastay say hokay aayae ho TUM,
Mehak kyu unki janay, bikhra rahey ho TUM
BHAVRAY ho toh dur rehna TUM
Muskurahat sae maat aur pighlao TUM!
Radha kaha bann sakun mein,
jo jalti bujhati rahay tumharay PREM mein
Rukmani ho sakay toh, BANNA LO TUM!
Sharam hai mujhay aati samajh jao TUM
Ho sakay toh hazaro naam, aur khwab aab na dikhao TUM!
Ek hi khwab hai HUM, kash ki jann jao TUM!
Shabd hi reh gayae hai aab bas,
Agar samajh sako toh samajh jao TUM!
Jai Shri Krishna _/\_

Girdhir Gopal Gaun!

Tuneh kaisa jadu kiya Chaliyae,
Na mann rahey bas mein meray
na hi rahay yah Aatma...

Kabhi Radha, Kabhi Rukmani banu...
toh kabhi ghumu baan kay janu kyu, Meera mann mein aadha…
Kahay aisa jog lagayae,
janay kaisay moh jagayae...
kya paun kya khaun...
na rahun mein kissi hosh mein!
Tere prem kay neelay rang mein,
Bas vashibhuth huyiee jaun...
Bas vashibhuth huyiee jaun...

Iss mahurat bas murat dekhun, aur dekhti reh jaun...
Prem rass, aas mein gaun…
Giridhar Gopal Chaliyae...
aur jhumu... mantra mugdh ho jaun..

Girdhir Gopal Gaun Mohiyeee
Chaliyae! Girdhir Gopal Gaun... 






 
  

No comments:

Post a Comment